Wafaqi Hakoomat Pakistan IMF (International Monetary Fund) ke mutalbay ke Mutabiq ravaiti Pension ke tareeqa kar ko tabdeel krnay ke liye 1st July 2024 se Razakarana Pension ki Scheme Mutarif karwa rahi he.
1st Jusly 2024 se tamam naye bharti honay wale sarkari mulazmeen par Razakarana Pension ki scheme lagu ki jaye gi, Jab ke puranay mulazmeen ko sarkari budget se pension ada ki jaye gi. Ta hum agr koi phelay se bharti mulazim is scheme ka raza karana tour per hissa banana chaye to usay is scheme main shamil kr diya jaye ga.
Security Exchange Commission of Pakistan (SECP) ne ye nai pension scheme tayar kr li, jo keh public aur private dono sectors main implement ki jaye gi. Is policy main ye kaha gaya he keh private sector main retirement per provident fund ya gratuity di jati he, jo ke retired honay wale employees ko regular income ka zariya ni hoti. Is liye private sector ko bhi voluntary pension scheme mutarif karwana chaye.
Pakistan Bhar main is waqat 43 ke qareeb pension funds chal rahay hain jin ki maaliat taqriban 61 Arab rupay se tajawaz kar chuki he. Khyber Pakhtoon Khaw (KPK) wo pheli hakumat thi jis ne do saal qibal pension funds main sarmayakari ki thi aur is waqat KP ke Sarkari mulazameen ke 21 pension funds thay.
Punjab Hakumat ravaiti pension ke setup ko tabdeel krnay ke liye Razakrana Pension ki scheme mutarif krawanay per ghour kr rahi he. Is scheme ka maqsad Subai budget per bojh ko km krna he aur huqumat ne is per amal dramad ke liye SECP se rabta kiya he.
Razakrana Pension ke liye IMF ne hukamat-e-Pakistan se mutalba kiya he ke wo Razakrana pension ki schem mutarif karwaye. Aur Hukumat e Pakistan is per Qanoon sazi ke liye kam kr rahi he aur Yakum July 2024 tak ye pension policy / scheme mutarif karwa di jaye gi.